Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

chita

pata nahi kaise jali teri chita,
hone chale saal teen, ab bhi jal rahi chita

ek ek hawa ka toofan ayaa, aag dabi
aur phir chali chita

har ehsaas, har gum, har khushi, ke neeche tera gum raha
har ehsaas mehmaan ho aaya gaya, jab jab ghar khali raha, tera gum raha

khat

man ko apne bahut pukaara
khafa rehna chaaha
jo kabhi na tha humara
kaisa us pe rona
ab ki baar jo khat aaya
maine thaan liya tha
dar se lauta denge hum bhi
na lenge khat tumhara
be-imaan par dil hai bada
rah pe ja baitha
khuli ho ya band ho aakhein, dekhe rasta tumhara

Dhhuya

shabdo mein kya bayaan kare
sannata kaise goongta hai
kissi ko kya bataye
laashe kaise jeetee hain

na umeed ya asha
na roshni ki chahat ho
jo ghar kabhi basa nehi
uska kaisa chiraag ho

barsaat mein, toofan mein
jo deep jalaaya
roshni ki kadar na thee
toh dhaage ko kyun jalaya

bedard, bedil,
bewafa, aap kahaan?
kaafir toh hum the
jo has ke gum le na sake

hum to subha se hi
badnaam, be-jaat, be-imaan the
phir bhi kuchh the,
tere baad kuchh na rahe

bahut dur jali aag
bahut paas utha dhuuya
bahut dur jali chita
bahut paas koi jala

jab se hosh tha, bas tera bharosa tha
jab se hosh tha, tera bharosa tha
sharam se aaj sir jhuka ke
tere baad bhi hosh bacha hain

Akela

na shikwa hai
na gila hain
na aur kuchh kehna hain
na aur kuchh sunna hain
andheri raat mein gunjti huyi
bas ek akeli siski hain

na zarurat hain
na tamanna hain
na koi yahaan dost hain
na koi kahin apna hain
dil aaj bas ek khaali makaan ka
toota hua saaya hai

peechhe koi saaya
na waqt ki koi parchhayi hai
na aage koi raah
ya dur koi manzil hai
bas ek pal hai
bas usmein rakha ek kadam hai

na koi aur sapna hai
na koi aur chahat hai
jo jeena tha kal jee liya
bas rukna baaki hai
saanjh tak ruk na hai
raat se milna hain

Tu

chaha tha bas saath, usne
tere jaise saathi diye

ab chahta hun bas sannata
ki aur koi na mile

din raat rota rehta hai
ki maine tujhe kya kiya

kaash tujhe kahi se
ek aina mile

Dil

unginat tukre karke
musafiro mein baat diya

dil ka kamra kamra humne
khaali karke rakh diya

aasoo aaso sametke usmein
ek samundar ban gaya

leher leher andhi aayi
us mein khud hi dub gaya

apne dil ki kissi kone mein
apne gum mein dub gaya

duniya bahaar bahaar reh gayi
khud dil ke andhar kho gaya

tere liye jo khaali kiya tha
tere gum mein bhar diya

apni dil ki kissi kono mein
apne gum mein dub gaya

Banjar

jo zameen sukhe banjar par jaaye
to akela tinka sawaan ki hariyaali ho

jo dharti sehra ban jaaye
har ek bund pura sawaan ho

jo jeevan samshaan ban jaaye
har aahat gunje shor

jo man itna khaali par jaaye
har ishaara ek rishta ban jaaye

jo din itne akele ho jaaye
ek kiran bhi mehmaan ho

Zindagi

bahut socha
kuchh na samjha

bhul na chaaha
bhul na paaya

raat jo aasu rok lia tha
khud ko jo samhaal liya tha

dil tute, tute
maan na chhute

ek aasu sukh na paaya
re reh ke dastak de ta raha


usse unsuna kar diya
phir bhi bhulaaya na gaya

bahut socha
kuchh na samjha

bhul na chaaha
bhul na paaya

---------

saalo chaukhat par ruki rahi
aage raasta, takti rahi
ab ayegi, ab ayegi
zindagi

jab ayi yun ayi
toofan si banke zindagi
ek siski bharti shaam. chhor gayee zindagi
jab gayi, deep, taare, saas tak, bujha gayi zindagi

------------

chhor ayi
mur ke bhi na dekha
chhor toh ayi
par bhulaaya na gaya